lab-e-ḳhamosh se us ne ḳhush-āmdīd kahā
usī ko logoñ ne phir guft aur shunīd kahā
bahār-e-lāla-o-gul se ḳhizāñ kī aahaT tak
har ek vāqi.a mausam ne chashm-dīd kahā
junūñ meñ pahle to iqrār kar liyā us ne
junūñ kī baat ko phir aql se ba.iid kahā
hasīn tabsira mausam pe jab tamām huā
to us ne kaan meñ chupke se kuchh mazīd kahā
tirā ḳhayāl kiyā ham ne vasl se ta.abīr
tirī galī se guzarne ko bāzdīd kahā
na ham se pūchhā gayā zabt kā sabab koī
na ham ne dard ko apne kabhī shadīd kahā
mirī sarisht-e-'suḳhan' meñ haiñ kuchh na.e uslūb
na.ī ġhazal ne mujhe bhī ḳhush-āmdīd kahā