Abdul Wahab Sukhan

hamein nasib koi dida-war nahin hota

Abdul Wahab Sukhan

Rampur, Uttar pradesh, India

1970
hameñ nasīb koī dīda-var nahīñ hotā
jo dastaras meñ hamārī hunar nahīñ hotā
maiñ roz us se yahīñ ham-kalām hotā huuñ
darūn-e-rūh kisī kā guzar nahīñ hotā
jalā diye haiñ kisī ne purāne ḳhat varna
fazā meñ aisā to raqs-e-sharar nahīñ hotā
mohabbatoñ ke ka.ī ism maiñ ne paḌh Daale
ajab tilism hai vā is kā dar nahīñ hotā
agar maiñ shab kī siyāhī na chiir kar niklūñ
koī ujālā mirā ham-safar nahīñ hotā
kisī ke naqsh-e-qadam kī thī justujū varna
maiñ is tarah to 'suḳhan' dar-ba-dar nahīñ hotā
Top Urdushayar.com