mahak rahā hai tasavvur meñ ḳhvāb kī sūrat
khilā khilā sā vo chehra gulāb kī sūrat
savāl us se ajab merī ḳhāmushī ne kiyā
hañsī laboñ pe thī us ke javāb kī sūrat
kitāb-e-dil kā mirī ek baab ho tum bhī
tumheñ bhī paḌhtā huuñ maiñ ik nisāb kī sūrat
pukārā jab bhī mujhe tum ne dasht-e-imkāñ se
koī umiid sī ubhrī sarāb kī sūrat
ye us ke qurb kī pādāsh meñ 'suḳhan' ham ko
nasīb hijr huā hai azaab kī sūrat