daam sau rakhte haiñ lafzoñ meñ suḳhnavar mujh se
baat kījegā zarā soch samajh kar mujh se
mujhe khaltī nahīñ tanhā.ī safar kī yuuñ bhī
guftugū karte haiñ sab raah ke patthar mujh se
vo jo haiñ lazzat-e-tafhīm-e-suḳhan se vāqif
sher sunte haiñ vahī log mukarrar mujh se
mujh ko Dar thā ki kahīñ fāsle baḌh jaa.eñ magar
vo qarīb aa gayā kuchh aur simaT kar mujh se
vo jo bichhḌā hai suḳhan lauT ke kab aa.egā
pūchhte rahte haiñ ye shaam ke manzar mujh se