ye sāneha bhī ajab ho gayā hai raste meñ
jo rahnumā thā vahī kho gayā hai raste meñ
kisī bhī ābla-pā ko na mil sakī taskīn
ajiib ḳhaar koī bo gayā hai raste meñ
itāb-e-jāñ huī gard-e-safar kisī ke liye
kisī ko abr-e-karam dho gayā hai raste meñ
hudī kī lai karo maddham ai qāfile vaalo
thakan se chuur koī so gayā hai raste meñ
musāfirān-e-vafā kī koī ḳhabar na milī
na jaane kaun kidhar ko gayā hai raste meñ
rahegā saath kahāñ tak ye dekhnā hai mujhe
vo ham-suḳhan to mirā ho gayā hai raste meñ