Saqib Lakhnavi

ek ek ghaDi uski qayamat ki ghaDi hai

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
ek ek ghaḌī us kī qayāmat kī ghaḌī hai
jo hijr meñ taḌpā.e vahī raat baḌī hai
ye zo.af kā aalam hai ki taqdīr kā likhā
bistar pe huuñ maiñ yā koī tasvīr paḌī hai
betābī-e-dil kā hai vo dilchasp tamāshā
jab dekho shab-e-hijr mire dar pe khaḌī hai
dekhā to zamāna gila-e-hijr se kam thā
samjhā thā ki furqat se shab-e-vasl baḌī hai
rone se hayā sham.a kī zāhir ho to kyuuñ kar
uryāñ hai magar beach meñ mahfil ke khaḌī hai
ab tak mujhe kuchh aur dikhā.ī nahīñ detā
kyā jāniye kis aañkh se ye aañkh laḌī hai
mar jā.ūñ jo maiñ vādī-e-ulfat meñ ajab kyā
maqsad hai mirā saḳht to manzil bhī kaḌī hai
kab aaoge vaqt aa gayā duniyā se safar kā
vaqfa hai koī dam kā na saa.at na ghaḌī hai
kad hai vo mujhe kuuch meñ aane nahīñ dete
apnā hai ḳhayāl un ko mujhe dil kī paḌī hai
himmat ko nazar pā nahīñ saktī kisī sūrat
dil koī baḌā hai jo koī aañkh baḌī hai
ai hashr numā.inda-e-raftār Thahar jā
us zulf ke sadqe jo tirī paañv paḌī hai
taḌpā diyā dil gūñdh ke gesū shab-e-vaslat
maiñ jāntā thā piiTh pe phūloñ kī chhaḌī hai
bālā-e-jabīñ ḳhuun jab aayā to araq kyā
ai jalva-gah-e-husn tirī dhuup kaḌī hai
aadhī se ziyāda shab-e-ġham kaaT chukā huuñ
ab bhī agar aa jaao to ye raat baḌī hai
ārā.ish-e-gesū ko hasīñ maañg rahe haiñ
'sāqib' kī ġhazal kyā koī motī kī laḌī hai
Top Urdushayar.com