na ḳhud-sarī meñ hasīñ roz-o-shab guzārā kar
zamīn-e-dil pe kabhī paañv bhī pasārā kar
kināre lag ga.ī mere bhī shauq kī kashtī
mire rafīq tū ab shauq se kinārā kar
kisī ke hijr meñ tasvīr ban gayā huuñ maiñ
hasīn shaam ke manzar mujhe nihārā kar
yahī hai lutf anā kā yahī hai dildārī
ki bāziyoñ ko kabhī jiit ke bhī haarā kar
nikāl koī to sūrat ki fāsle na raheñ
qarīb aa mire yā phir mujhe ishāra kar
tirī sadā.eñ kabhī rā.egāñ na jā.eñgī
vo sun rahā hai yahī soch ke pukārā kar
husūl-e-amn-o-mohabbat kī chāshnī ke liye
mizāj-e-talḳhī-e-daurāñ 'suḳhan' gavārā kar