kisī talab meñ huā maiñ na dar-ba-dar ab ke
rahā nigāh kā mehvar bas apnā ghar ab ke
na jaane kitne hī raste the muntazir lekin
simaT ke rah gayā qadmoñ meñ hī safar ab ke
ye intizār kī shiddat na thī kabhī pahle
muhīt lagtā hai sadiyoñ pe lamha bhar ab ke
bahār-e-lāla-o-gul ke qasīde ḳhatm hue
ḳhizāñ kā marsiya paḌhtā hai har shajar ab ke
ye kaisā nasha musallat thā ab ke zehnoñ par
tabāhiyoñ se rahe sab hī be-ḳhabar ab ke
samar kī parvā kiye bin hī ham ne boyā hai
zamīn-e-ḳhvāb pe ummīd kā shajar ab ke
ajiib mausam-e-karb-o-balā hai gulshan meñ
rakhā hai ġhunchoñ ne kāñToñ pe apnā sar ab ke
ghuTan meñ vaqt kī bārūd ban gayā huuñ 'suḳhan'
na phūñk de mujhe aa kar koī sharar ab ke