Abdul Wahab Sukhan

ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi

Abdul Wahab Sukhan

Rampur, Uttar pradesh, India

1970
ai merī āñkho ye be-sūd justujū kaisī
jo ḳhvāb ḳhvāb rahīñ un kī aarzū kaisī
ragoñ meñ ḳhuun hai shāḳhoñ kī surḳh-rū ġhunche
ḳhizāñ meñ ab ke bahāroñ kī rañg-o-bū kaisī
tamām pattoñ ko mausam ne zard zard kiyā
ye ek shāḳh-e-tamannā hai sabz-rū kaisī
karo to yaad milan ke vo avvalīñ lamhe
ki chhiḌ ga.ī thī nigāhoñ meñ guftugū kaisī
ye shahr-e-dil meñ bhalā aaj kis kī aamad hai
ye mahv-e-raqs haiñ ḳhushbūeñ kū-ba-kū kaisī
ufuq kā chehra 'suḳhan' is kadar udaas hai kyuuñ
shafaq ke rañg meñ ye surḳhī-e-lahū kaisī
Top Urdushayar.com