Abdul Wahab Sukhan

sakin hai koi aur watan aur kisi ka

Abdul Wahab Sukhan

Rampur, Uttar pradesh, India

1970
sākin hai koī aur vatan aur kisī kā
ye ruuh kisī kī hai badan aur kisī kā
surḳhī hai kaho kī mire har sarv-o-saman meñ
paḌhtā hai qasīda ye chaman aur kisī kā
taskīn kā baa.is hai kisī aur kā pahlū
ehsās dilātī hai chubhan aur kisī kā
ā.īna samajhte haiñ tujhe sab ye alag baat
hai tujh meñ magar ā.īna-pan aur kisī kā
ye pyaar kā jazba tire kuchh kaam to aa.e
merā nahīñ bantā hai to ban aur kisī kā
kahte haiñ suḳhnavar mujhe nisbat se tirī sab
rahtā hai mire lab pe 'suḳhan' aur kisī kā
Top Urdushayar.com