Abdul Wahab Sukhan

azmat-e-shahar-e-ana shan-e-bashar ki surat

Abdul Wahab Sukhan

Rampur, Uttar pradesh, India

1970
azmat-e-shahar-e-anā shān-e-bashar kī sūrat
mere shānoñ pe koī hai mire sar kī sūrat
roz utartā hai samundar meñ sunahrā sūraj
roz ban jaatī hai ik dīda-e-tar kī sūrat
dil jo sahrā ke sarāboñ se mirā uub gayā
yaad aa.ī mujhe bhūle hue ghar kī sūrat
aa ke nazdīk mire jalne kā manzar dekho
duur se sho.ala bhī lagtā hai sharar kī sūrat
āhaTeñ qadmoñ kī mohlat nahīñ detīñ varna
dekhte rahte haiñ raste bhī safar kī sūrat
kaun se ahd meñ kholī haiñ ye āñkheñ ham ne
aib lagte haiñ 'suḳhan' sab ke hunar kī sūrat
Top Urdushayar.com