na.ī ġhazal kā na.ī fikr-o-āgagī kā varaq
zamāna khol rahā hai suḳhanvarī kā varaq
mohabbatoñ ke hasīñ baab se zarā aage
kitāb-e-zīst meñ miltā hai gumrahī kā varaq
sunahrī sā.ateñ mansūb haiñ tire ġham se
palaT ke dekh zarā merī zindagī kā varaq
kitāb vaqt kī āñdhī meñ khul ga.ī shāyad
havā meñ uḌ gayā derīna dostī kā varaq
tilāvatoñ meñ haiñ masrūf tā.irān-e-sahar
ufuq ne kholā hai kirnoñ kī raushnī kā varaq
mile haiñ aaj suḳhan mere sab ḳhatoñ ke javāb
jo mere haath lagā us kī Diary kā varaq