Abdul Wahab Sukhan

meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya

Abdul Wahab Sukhan

Rampur, Uttar pradesh, India

1970
mirī chāhatoñ ke savāl par koī muskurā ke chalā gayā
mujhe phir se mausam-e-vasl kā vo hasīn ḳhvāb dikhā gayā
dil-e-mezbān meñ rañj kā yahī muddatoñ se hai silsila
koī din meñ aa ke Thahar gayā koī raat rah ke chalā gayā
vo milan kī avvalīñ sā.ateñ vo kisī kā lams ināyateñ
kabhī vo ḳhumār se tar huā kabhī mujh pe nashsha sā chhā gayā
yahī soch kar to maiñ dañg thā bhalā maiñ bhī kyā koī sañg thā
ki vo kār-e-ḳhair samajh ke yuuñ mujhe rāste se haTā gayā
ġham-e-āshiqī ho tirā bhalā tujhe yaad rakkhūñgā maiñ sadā
isī ek nām-e-vafā pe bas mujhe baar baar chhalā gayā
jinheñ rakkhā maiñ ne sambhāl kar jo the jaan se bhī azīz-tar
kabhī sail-e-ashk thā josh par vo unhī ḳhatoñ ko galā gayā
Top Urdushayar.com