mujhe ehsās ye pal pal rahā hai
ki mere sar se sūraj Dhal rahā hai
ḳhushā sāthī vo pichhle mausamoñ ke
ye tanhā.ī kā aalam khal rahā hai
barā-e-shab jalāo mish.al-e-jāñ
thakā-māñda ye sūraj Dhal rahā hai
safar meñ ye gumāñ hai har qadam par
ki mere saath koī chal rahā hai
raqam the jis pe lamhe besh-qīmat
vo kāġhaz āñsuoñ se gal rahā hai
tasavvur hai nasha hai dhaḌkaneñ haiñ
'suḳhan' sheroñ meñ koī Dhal rahā hai