Nighat Naseem

dard sahne ki baat karta hai

Nighat Naseem

dard sahne kī baat kartā hai
vo mujhe āshnā-e-zāt kartā hai
bosa detā hai mere hāthoñ ko
maut ko yuuñ hayāt kartā hai
sāmne baiTh kar jo boltā hai
sirf apnī hī baat kartā hai
pūchhtī huuñ maiñ apne aap se ye
kaise din ko vo raat kartā hai
us kī muTThī meñ band saañs merī
vus.at-e-kā.enāt kartā hai
kāsa-e-chashm us kā bhartā nahīñ
yuuñ to zikr-e-najāt kartā hai
jab bhī kartā hai ishq kī bāteñ
vāris-e-shash-jihāt kartā hai
aks kar ke mujhe vo shaḳhs 'nasīm'
rāt-din mujh se baat kartā hai
Top Urdushayar.com