Nighat Naseem

usne KHwab mein mujhko jab do kanwal diye

Nighat Naseem

us ne ḳhvāb meñ mujh ko jab do kañval diye
jīvan kī nadiyā ke dhāre badal diye
un phūloñ kī ab bhī yaad satātī hai
phuul jo apne hāthoñ ḳhud hī masal diye
maiñ ne jhiil kināre us kā naam liyā
jhiil ne hañs ke niile motī ugal diye
saare armāñ kab nikle haiñ siine se
aise bhī haiñ siine meñ jo machal diye
aise bhī the log jo gir ke sambhle kam
ham ne Thokar khaa.ī aur phir sambhal diye
us dukh ne rakkhā hai mujh ko abad talak
jis dukh ne haañ mujh ko jām-e-azal diye
us ne hañs kar mujh se merī bāteñ kiiñ
lamhe bhar meñ saare mausam badal diye
us se 'nig.hat' qaa.em merā pyaar rahe
jis ne ye ash.ār ba-sūrat-ġhazal diye
Top Urdushayar.com