kisī jahāñ meñ huuñ terā ḳhayāl rakhtī huuñ
tire ḳhayāl se dil ko ujaal rakhtī huuñ
nigah kī tishnagī aisī ki sair hotī nahīñ
maiñ tishna āñkhoñ meñ terā jamāl rakhtī huuñ
maiñ tere fiil ko mārūñgī apne payāde se
bisāt-e-vaqt pe ḳhud apnī chaal rakhtī huuñ
ye mere sher jo har ek kī zabāñ par haiñ
maiñ apne sheroñ meñ terā kamāl rakhtī huuñ
maiñ terī āñkhoñ se apnā vajūd dekhtī huuñ
tire laboñ kī hañsī bhī sambhāl rakhtī huuñ
mahāz-e-ishq pe qurbat kī jañg laḌte hue
maiñ furqatoñ ke mumāsil visāl rakhtī huuñ
ġhanīm jaan se 'nig.hat' muqāble ke liye
maiñ apne sāmne terī misāl rakhtī huuñ