Sayyada Humaa Shah

kabhi hansna kabhi rona kabhi nale hain tere

Sayyada Humaa Shah

1982
kabhī hañsnā kabhī ronā kabhī naale haiñ tire
kyā kahūñ haa.e ki sab ruup nirāle haiñ tire
chāñdnī phuul ki ḳhushbū kā tasavvur karnā
naam kuchh bhī rahe ye sab hī havāle haiñ tire
ab to is dil meñ nahīñ kuchh bhī bachā tere sivā
in meñ yādoñ ke na.e zaḳhm jo paale haiñ tire
dasht kā dasht tire hijr meñ chhānā maiñ ne
paañv mere haiñ magar in meñ bhī chhāle haiñ tire
jism meñ aag bhaḌaktī hai tirī qurbat se
dekh ham bhī to yahāñ chāhne vaale haiñ tire
āḳhirī vaqt talak koshisheñ kar kar dekheñ
hijr ke daam meñ uljhe hue chāle haiñ tire
Top Urdushayar.com