apne naḳhre sambhāl chaltā ban
tujh meñ kyā hai kamāl chaltā ban
rū-ba-rū tere rakh diyā maiñ ne
har javāb-o-savāl chaltā ban
phone kartā hai roz jis ko tū
rakh usī kā ḳhayāl chaltā ban
kañkarī bhī pahāḌ jaisī hai
apne patthar sambhāl chaltā ban
faanī duniyā meñ ham bashar jaise
aur tū be-misāl chaltā ban
tū 'humā' ko jo saḳht-sust kahe
terī itnī majāl chaltā ban