Sayyada Humaa Shah

azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe

Sayyada Humaa Shah

1982
azāb-e-dīd kā muzhda sunā rahā hai mujhe
kisī kī baat sunā kar jalā rahā hai mujhe
vo apne sach ko kabhī kar nahīñ sakā sābit
jo ek umr se jhūTā banā rahā hai mujhe
jo shaḳhs miim ke mafhūm tak nahīñ pahuñchā
ḳhudā kī shaan mohabbat sikhā rahā hai mujhe
use uruuj kā mafhūm aa gayā hai samajh
so is liye bhī nazar se haTā rahā hai mujhe
hisār-e-rañj-o-alam TūTtā nahīñ kyūñ-kar
ye hādsāt kā ronā rulā rahā hai mujhe
maiñ be-yaqīnī ke sahrā ko paar to kar luuñ
magar jo ek samundar bulā rahā hai mujhe
Top Urdushayar.com