ḳhayālī tāqche meñ dhar diyā diyā logo
kisī ne jaisā kahā maiñ ne vo kiyā logo
ye soch kar ki nishānī hai jaane vaale kī
vo zaḳhm maiñ ne kabhī bhī nahīñ siyā logo
na chaah kar bhī maiñ ghuñghrū gavārā kar lūñgī
kisī bhī taur se maane mirā piyā logo
maiñ jis ke hijr meñ ghuT ghuT ke marne vaalī huī
vo shaḳhs khul ke mirī zindagī jiyā logo
'humā' hathelī kī har har lakīr meñ vo hai
kisī ne kaise use apnā likh liyā logo