josh-e-junūñ ko koī bhī paimāna chāhiye
paanī ko ab to sar se guzar jaanā chāhiye
mere alāva kaun hai us kā koī nahīñ
lāsh-e-ḳhayāl-e-yār ko kafnānā chāhiye
mānūsiyat ne ghar kī fazā ko badal diyā
dīvār-o-dar ko maiñ nahīñ begāna chāhiye
mumkin hai umr bhar kī thakan nazr-e-lahr ho
sāhil kī ret par mujhe sustānā chāhiye
kal ho na ho vo aa.e na aa.e so aaj hī
pahlū meñ ḳhush-jamāl ke mar jaanā chāhiye
bīmār jab supurd-e-ḳhudā kar diyā to phir
ab kis liye duāoñ kā nazrāna chāhiye
maiñ haath mal rahī huuñ 'humā' us se ruuTh kar
dil meñ sahī use bhī to pachhtānā chāhiye