ḳhaak ne apnā tasallut thā jamāyā jis dam
maiñ ne aflāk ko sochoñ se uThāyā jis dam
mere atrāf bhī kohrām kā bādal barsā
maiñ ne ik shaḳhs ko kuchh der hī sochā jis dam
rābta TuuT ke hairānī talak aa pahuñchā
ek apnā mirā aġhyār meñ baiThā jis dam
vaqt to aan hī pahuñchā thā tire vasl kā bhī
silsila saañs kā us ruuh se TuuTā jis dam
merī āvāz mire paas palaT aa.ī thī
maiñ ne tanhā.ī meñ apnoñ ko pukārā jis dam
ro paḌā peḌ kisī dard kī lai ko le kar
ik parinde ne harī shāḳh ko nochā jis dam
dil mirā kostā rahtā hai usī pal ko 'humā'
ek patthar se bane but ko thā puujā jis dam