Nadeem Fazli

ab apni zat ka irfan hone wala hai

Nadeem Fazli

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1959
ab apnī zaat kā irfān hone vaalā hai
ḳhudā se rābta āsān hone vaalā hai
gañvā chukā huuñ maiñ chālīs saal jis ke liye
vo ek pal mirī pahchān hone vaalā hai
isī liye to jalātā huuñ āñdhiyoñ meñ charāġh
yaqīn hai ki nigahbān hone vaalā hai
ab apne zaḳhm nazar aa rahe haiñ phuul mujhe
shu.ūr-e-dard pashemān hone vaalā hai
mire liye tirī jānib se pyaar kā iz.hār
mire ġhurūr kā sāmān hone vaalā hai
ye choT hai mirī mushkil-pasand fitrat par
jo marhala thā ab āsān hone vaalā hai
agar ġhurūr hai sūraj ko apnī hiddat par
to phir ye qatra bhī tūfān hone vaalā hai
bahut uruuj pe ḳhush-fahmiyāñ haiñ ab us kī
vo an-qarīb pashemān hone vaalā hai
tū apnā haath mire haath meñ agar de de
to ye faqīr bhī sultān hone vaalā hai
charāġh-e-dār kī lau maañd paḌ rahī hai 'nadīm'
phir apne naam kā elaan hone vaalā hai
Top Urdushayar.com