ma.arka hī ma.arka chāroñ taraf
ik hujūm-e-karbalā chāroñ taraf
toḌ de is dā.ere ko toḌ de
rāsta hai rāsta chāroñ taraf
mujh ko kaisī ḳhāmushī darkār thī
aur kaisā shor thā chāroñ taraf
vaqt vo jab mere andar meñ na thā
kaun thā mere sivā chāroñ taraf
umar bhar makkār ā.ankhoñ ne mujhe
vo dikhāyā jo na thā chāroñ taraf
achchhe achchhe jis kī rau meñ bah ga.e
us ne bāñdhī vo havā chāroñ taraf
haa.e ye ham shā.iroñ kī haa.e haa.e
aur mukarrar vāh-vā chāroñ taraf