kī tū ne lab-kushā.ī to kis ke huzūr kī
ab kirchiyāñ sameT dil-e-nā-subūr kī
kis ke lahhū meñ shaam nahā kar hai surḳh-rū
kis ne chukā.ī ḳhuun se qīmat ġhurūr kī
sadiyoñ se kis kī qabr pe girya-kunāñ hai raat
leTā hai kaun oḌh ke chādar ye nuur kī
ilm-o-kamāl aap kī mīrās kyā kahā
parteñ na kholiye mere tahtush-shu.ūr kī
taqdīr jitnā chāhe mujhe dar-ba-dar kare
miTTī se ḳhū na jā.egī burhān-pūr kī
phir bā-adab haiñ lafz-o-ma.ānī mire huzūr
phir fauj utar rahī hai ḳhayāl-e-tuyūr kī
tafhīm āñ-janāb ye 'ġhālib' kā sher hai
kuchh an-kahī batā.iye bainassutūr kī
ham ḳhud se ham-kalām ho.e kam nahīñ 'nadīm'
jāveñ kalīm sair kareñ koh-e-tūr kī