Nadeem Fazli

marhala ab ke digar hai aaine ke samne

Nadeem Fazli

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1959
marhala ab ke digar hai aa.ine ke sāmne
mo'tabar nā-mo'tabar hai aa.ine ke sāmne
aaj shāyad ā.īne kā jhuuT pakḌā jā.egā
aaj vo sāhab-nazar hai aa.ine ke sāmne
dhund meñ Duube ho.e saare manāzir dekh kar
aa.ine kī aañkh tar hai aa.ine ke sāmne
jhurriyāñ chehre kī ye bachpan kī vo ma.asūmiyat
ek lamhe kā safar hai aa.ine ke sāmne
har nafas be-chehragī kā karb kab tak jheltā
ab na.ī samt-e-safar hai aa.ine ke sāmne
kaun hai jo apne chehre se nahīñ Dartā 'nadīm'
kaun be-ḳhauf-o-ḳhatar hai aa.ine ke sāmne
Top Urdushayar.com