hamīñ pe tañg ye vaqt-e-ravāñ huā to kyā
darāz aur bhī kār-e-jahāñ huā to kyā
ye surḳh talve ye tanhā.ī āḳhirī hichkī
ab is se aage koī kārvāñ huā to kyā
ye rāste haiñ buzurgoñ kī ḳhaak se raushan
so maiñ bhī chal ke yahīñ rā.egāñ huā to kyā
yahāñ to shahr hī ātish-fishāñ kī zad par hai
jo apne siine meñ thoḌā dhuāñ huā to kyā
ġhurūr yuuñ hai ki us ke gadāgaroñ meñ huuñ
barā.e ḳhalq maiñ shāh-e-jahāñ huā to kyā
hamīñ ne dī thī jagah us ko apnī palkoñ meñ
vo zarra aaj jo koh-e-girāñ huā to kyā
jo kar sakā na kisī taur mutma.in ḳhud ko
savāl uThtā hai mojiz-bayāñ huā to kyā
tamām log samā.at se ho ga.e mahrūm
tab apnā lahja ġhazal kī zabāñ huā to kyā
'nadīm' aañkh meñ aañsū hai saare aalam kā
vatan hamārā jo hindostāñ huā to kyā