dil kī rāheñ raushan karte rahte haiñ
kis ke ghuñghrū chhan-chhan karte rahte haiñ
duniyā jis kī khoj meñ pāgal phirtī hai
ham to us ke darshan karte rahte haiñ
indar kī be-rañgī shāyad chhup jaa.e
bāhar rañg-o-roġhan karte rahte haiñ
un se pūchho aane vaalī rut kā haal
jo patjhaḌ ko sāvan karte rahte haiñ
un ke dil meñ ghar kar lenā mushkil hai
chaTTānoñ meñ rauzan karte rahte haiñ
chup rahte haiñ jin meñ kuchh bhī hotā hai
ḳhālī Dabbe khan-khan karte rahte haiñ