Nadeem Fazli

janam janam ki takan hoti na baal-o-par mein

Nadeem Fazli

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1959
janam janam kī takān hotī na bāl-o-par meñ
jo chand lamhe guzār letā tarī nazar meñ
chale ho ghar se to kaam ā.eñge saath le lo
vafā kī ḳhushbū vafā kā saaya kaḌe safar meñ
rivāyatoñ se gurez kaisā chalo jagā.eñ
nasīb soyā huā hai apnā isī khañDar meñ
ġhazab kā sūd-o-ziyāñ hai apne mizāj meñ ab
balā kī ThanDak utar chakkī hai rag-e-sharar meñ
kabhī to saarā jahān ham ko lagā hai apnā
kabhī nazar aa.e ajnabī se ḳhud apne ghar meñ
gal aur titlī pe tabsira kyā 'nadīm' karte
bujhe ho.e dil jale makānāt the nazar meñ
Top Urdushayar.com