yuuñ ḳhush-gumān rakkhā gayā umar bhar mujhe
har shaam se malī hai naved-e-sahar mujhe
maiñ thā jo hadd-e-jism se aage na baḌh sakā
vo le gayā badan se mire chhīn kar mujhe
maiñ zaa.e.a ho chukā huuñ bahut khel khel meñ
ai vaqt ab na aur lagā daav par mujhe
mere liye qazā hai abhī dā.imī hayāt
kuchh log chāhte haiñ abhī TuuT kar mujhe
honā hai mo'tabar mujhe apnī nigāh meñ
kab e'tibār baḳhshegī terī nazar mujhe
merī tarah 'nadīm' use hichkiyāñ na aa.eñ
jo sochtā hai raat kai pichhle pahar mujhe