vo yak-ba-yak use dal meñ utārne kā amal
vo apnī zaat pe shab-ḳhūn mārne kā amal
hazār vasvase dil meñ aur ik dahaktā alaav
hayāt-e-dasht meñ rāteñ guzārne kā amal
bas ek ḳhosha-e-gandum aur aisī dar-ba-darī
vo āsmāñ ko zamīñ par utārne kā amal
ye umar mez hai gavayyā qimār-ḳhāne kī
bas ek jiit kī ḳhvāhish meñ hārne kā amal
vo band ḳhushbū kā bād-e-sabā ke vo nāḳhun
kalī ke jism se kapḌe utārne kā amal
ġhazab kā shor machāte ho.e ye sannāTe
vo be-sadā bhī kisī ko pukārne kā amal
hui hai shaam phir ashkoñ se ik vazū ho 'nadīm'
phir ek raat sitāre shumārne kā amal