Nadeem Fazli

sab ko ye fikr hath se ab ek pal na jae

Nadeem Fazli

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1959
sab ko ye fikr haath se ab ek pal na jaa.e
duniyā hudūd-e-vaqt se aage nikal na jaa.e
sab ko fareb de magar itnā rahe ḳhayāl
bahrūp bharte bharte ye chehra badal na jaa.e
ġham se nibāh kījiye is tamkanat ke saath
dil kā sharāra aañkh kī had tak machal na jaa.e
zauq-e-nazar diyā hai to zarf-e-nazar bhī de
Dar hai mujhe shu.ūr kī vus.at nigal na jaa.e
suntā huuñ aap merī ayādat ko ā.eñge
kartā huuñ sau jatan ki tabī.at sambhal na jaa.e
vo dard hai ki phaT na paḌe dil kahīñ 'nadīm'
vo ḳhauf hai ki riiḌh kī haDDī pighal na jaa.e
Top Urdushayar.com