mushkileñ ḳhaal ḳhaal chāhte haiñ
shauq meñ e'tidāl chāhte haiñ
kaT ke apnī jaḌoñ se kuchh paude
sabz mausam kī shaal chāhte haiñ
kam se kam ḳhud se to haiñ muḳhlis vo
jo hameñ hasb-e-hāl chāhte haiñ
laakh jiinā harām ho ham par
ham to rizq-e-halāl chāhte haiñ
kyā kamī aa ga.ī hai chāhat meñ
zaḳhm kyuuñ indimāl chāhte haiñ
aañkh pathrā ga.ī hai ro ro kar
ashk apnā nikāl chāhte haiñ
chand lamhāt surḳh-rūī ke
kitne hī māh-o-sāl chāhte haiñ
ghar ke jalve 'nadīm' kam to nahīñ
ik zarā dekh-bhāl chāhte haiñ