Nadeem Fazli

ajib jang-o-jidal har pal hai mere andar

Nadeem Fazli

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1959
ajiib jañg-o-jidāl har pal hai mere andar
ki nūr-o-zulmat kā ek maqtal hai mere andar
uge haiñ mujh meñ hazār-hā ḳhār-zār paude
phir is pe turra ki ruuh malmal hai mere andar
ye kaisī be-ma.anī zindagī ho ke rah ga.ī hai
na kuchh adhūrā na kuchh mukammal hai mere andar
maiñ jāntā huuñ ki ḳhatm hogā na ye ta.affun
magar luTā.ūñgā jitnā sandal hai mere andar
samundaroñ meñ kahāñ tamavvuj hai aisā mumkin
ki jo talātum hai jaisī halchal hai mere andar
baḌe-baḌoñ ko samajh rahā hai jo tifl-e-maktab
'nadīm' āḳhir vo kaun pāgal hai mere andar
Top Urdushayar.com