Nadeem Fazli

raaz-e-fitrat se ayan ho koi manzar koi dhun

Nadeem Fazli

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1959
rāz-e-fitrat se ayaañ ho koī manzar koī dhun
sāz-e-hastī se bhī nikle koī paikar koī dhun
maiñ vo āvāz jo ab tak hai samā.at se pare
maiñ vo naġhma abhī utrī nahīñ jis par koī dhun
ik ġhazal chheḌ ke rotā rahā mujh meñ koī
ik samāñ bāñdh ke hañstī rahī mujh par koī dhun
ūñghne lagtī hai jab paañv ke chhāloñ kī tapak
chheḌ dete haiñ mirī raah ke patthar koī dhun
aql farmān sunātī rahī TuuTā na jumūd
raqs-e-vahshat kā taqāzā thā mukarrar koī dhan
vaqt kī lai se ham-āhañg jo hotā huuñ nadīm
bain kartī hai kahīñ ruuh ke andar koī dhun
Top Urdushayar.com