ik qurb jo qurbat ko rasā.ī nahīñ detā
ik fāsla ehsās-e-judā.ī nahīñ detā
ik tīrgī detī hai basārat ke qarīne
ik raushnī vo jis meñ sujhā.ī nahīñ detā
ik qaid hai āzādī-e-afkār bhī goyā
ik daam jo uḌne se rihā.ī nahīñ detā
ik āh-e-ḳhatā girya-ba-lab sub.h-e-azal se
ik dar hai jo tauba ko rasā.ī nahīñ detā
ik shauq baḌā.ī kā agar had se guzar jaa.e
phir ''maiñ'' ke sivā kuchh bhī dikhā.ī nahīñ detā
mat pūchhiye chālākiyāñ merī ki mirā aib
ab ahl-e-nazar ko bhī dikhā.ī nahīñ detā