basīratoñ kā nazar ehtirām kartī hai
samā.atoñ se ḳhamoshī kalām kartī hai
ḳhizāñ kā raaz jo āñkhoñ pe munkashif ho jaa.e
to zard rut bhī bahāroñ kā kaam kartī hai
kahāñ kā zarf kahāñ kā vaqār ye duniyā
nigāh jeb pe rakh kar salām kartī hai
zarūrateñ dar-e-shāhī pe le ke jaatī haiñ
mirī anā mujhe apnā ġhulām kartī hai
hisār-e-sūd-o-ziyāñ se nikāl de yā-rab
ye zindagī mirā jiinā harām kartī hai
buland-o-past se parvāz māvarā hai mirī
ye kā.enāt mujhe zer-e-dām kartī hai
ḳhudā kā shukr ki maiñ ḳhud se āshnā huuñ 'nadīm'
mirī nigāh mirā ehtirām kartī hai