ai bhañvar terī tarah bebāk ho jā.eñge ham
saath meñ rah kar tire tairāk ho jā.eñge ham
dekh maujoñ ke havāle is tarah mat kar hameñ
varna ai sāhil tire saffāk ho jā.eñge ham
shāḳh se kaT kar alag hone kā ham ko ġham nahīñ
phuul haiñ ḳhushbū luTā kar ḳhaak ho jā.eñge ham
ham kabūtar kī tarah shaffāf haiñ ma.asūm haiñ
tū miTā.egā to phir chālāk ho jā.eñge ham
oḌh leñge ye zamīñ chādar kī tarah ek din
ek din miTTī tirī ḳhurāk ho jā.eñge ham
sub.h hote hī umīdeñ thapkiyāñ deñgī hameñ
shaam hote hī bahut namnāk ho jā.eñge ham
aag to gulzār ban jaatī hai rāh-e-shauq meñ
tum samajhte the ki jal kar raakh ho jā.eñge ham
zindagī rassī pe chaltā ik madārī hai 'vasīm'
kyā pata hai kab supurd-e-ḳhāk ho jā.eñge ham