ham-safar tū ne paroñ ko jo mire kaaTā hai
tere kirdār kā ye sab se baḌā ghāTā hai
aa.iye aap ko dastār-e-fazīlat dī jaa.e
aap ne apne hī logoñ kā galā kaaTā hai
koī dastak koī aahaT na sadā hai koī
duur tak ruuh meñ phailā huā sannāTā hai
lutf ye hai ki usī shaḳhs ke mamnūn haiñ ham
jis kī talvār ne qistoñ meñ hameñ kaaTā hai
ham pe ġhalbe kī yahī ek to sūrat thī 'vasīm'
buz-diloñ ne yuuñ hī ḳhānoñ meñ nahīñ bāñTā hai