Waseem Malik

mafrur kabhi KHud par sharminda nazar aae

Waseem Malik

mafrūr kabhī ḳhud par sharminda nazar aa.e
mumkin hai chhupā chehra ā.inda nazar aa.e
vallāh sharāfat kyā aslāf ne paa.ī thī
gardish meñ rahe lekin tābinda nazar aa.e
qurbāñ jo hue haq par kab maut unheñ aa.ī
sadiyoñ ke tasalsul meñ vo zinda nazar aa.e
ḳhurshīd-e-muqaddar ke bujhne se bujhe kab ham
zulmat meñ sitāroñ se raḳhshanda nazar aa.e
lagtā hai judā sab se kirdār 'vasīm' us kā
vo shahr-e-mohabbat kā bāshinda nazar aa.e
Top Urdushayar.com