sañg-e-tiflāñ fidā-e-sar na huā
aaj us kūche meñ guzar na huā
ham bhī the jauhar-e-girāñ-māya
par koī sāhib-e-nazar na huā
amn-ālam meñ kyuuñ nahīñ yā rab
is ke qābil magar bashar na huā
be-kasī parda-dār-e-dard huī
ḳhair guzrī ki apnā ghar na huā
qadrdānī kī kaifiyat mālūm
aib kyā hai agar hunar na huā
sar jhukā.e jo aate ho 'vahshat'
magar is bazm meñ guzar na huā