nāloñ se agar maiñ ne kabhī kaam liyā hai
ḳhud hī asar-e-nāla se dil thaam liyā hai
āzādi-e-andoh-fazā se hai rihā.ī
ab maiñ ne kuchh ārām tah-e-dām liyā hai
uThtī thiiñ umañgeñ unheñ baḌhne na diyā phir
maiñ ne dil-e-nākām se ik kaam liyā hai
juz mashġhala-e-nāla o fariyād na thā kuchh
jo kaam ki dil se sahar o shaam liyā hai
ḳhud pūchh lo tum apnī nigāhoñ se vo kyā thā
jo tum ne diyā maiñ ne vo paiġhām liyā hai
thā terā ishārā ki na thā maiñ ne diyā dil
aur apne hī sar jurm kā ilzām liyā hai
ġham kaise ġhalat karte judā.ī meñ tirī ham
DhūñDā hai tujhe haath meñ jab jaam liyā hai
ārām ke ab naam se maiñ Darne lagā huuñ
taklīf uThā.ī hai jab ārām liyā hai
mālūm nahīñ ḳhuub hai jo vāqif-e-fan haiñ
'vahshat' ne mahākāt se kyā kaam liyā hai