dard aa ke baḌhā do dil kā tum ye kaam tumheñ kyā mushkil hai
bīmār banānā āsāñ hai har-chand mudāvā mushkil hai
ilzām na deñge ham tum ko taskīn meñ koī kī na kamī
vaada to vafā kā tum ne kiyā kyā kījiye iifā mushkil hai
dil toḌ diyā tum ne merā ab joḌ chuke tum TuuTe ko
vo kaam nihāyat āsāñ thā ye kaam balā kā mushkil hai
āġhāz se zāhir hotā hai anjām jo hone vaalā hai
andāz-e-zamāna kahtā hai puurī ho tamannā mushkil hai
mauqūf karo ab fikr-e-suḳhan 'vahshat' na karo ab zikr-e-suḳhan
jo kaam ki be-hāsil Thahrā dil us meñ lagānā mushkil hai