Wahshat Raza Ali Kalkatvi

jo tujhse shor-e-tabassum zara kami hogi

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
jo tujh se shor-e-tabassum zarā kamī hogī
hamāre zaḳhm-e-jigar kī baḌī hañsī hogī
rahā na hogā mirā shauq-e-qatl be-tahsīñ
zabān-e-ḳhanjar-e-qātil ne daad dī hogī
tirī nigāh-e-tajassus bhī pā nahīñ saktī
us aarzū ko jo dil meñ kahīñ chhupī hogī
mire to dil meñ vahī shauq hai jo pahle thā
kuchh aap hī kī tabī.at badal ga.ī hogī
bujhī dikhā.ī to detī hai aag ulfat kī
magar vo dil ke kisī goshe meñ dabī hogī
koī ġhazal meñ ġhazal hai ye hazrat-e-'vahshat'
ḳhayāl thā ki ġhazal aap ne kahī hogī
Top Urdushayar.com