Wahshat Raza Ali Kalkatvi

kisi surat se us mahfil mein ja kar

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
kisī sūrat se us mahfil meñ jā kar
muqaddar ham bhī dekheñ aazmā kar
taġhāful-kesh maiñ ne hī banāyā
use hāl-e-dil-e-shaidā sunā kar
uThā lene se to dil ke rahā maiñ
tū ab zālim vafā kar yā jafā kar
tire gulshan meñ pahuñche kaash ik din
nasīm-e-āshnā.ī raah pā kar
ḳhushī un ko mubārak ho ilāhī
vo ḳhush haiñ ḳhaak meñ mujh ko milā kar
dahan hai rashk se ġhunche kā pur-ḳhūñ
kidhar dekhā thā tum ne muskurā kar
vo sharmāte haiñ sun kar vasl kā naam
rahā huuñ maiñ jo chup to baat pā kar
huā vo bevafā.ī meñ musallam
nishān-e-turbat-e-āshiq miTā kar
gunāh apne mujhe yaad aa.e 'vahshat'
ḳhajil sā rah gayā maiñ haath uThā kar
Top Urdushayar.com