kahte ho ab mire mazlūm pe bedād na ho
sitam-ījād ho phir kyuuñ sitam ījād na ho
nahīñ paimān-e-vafā tum ne nahīñ bāñdhā thā
vo fasāna hī ġhalat hai jo tumheñ yaad na ho
tum ne dil ko mire kuchh aisā kiyā hai nāshād
shaad karnā bhī jo ab chāho to ye shaad na ho
jo giraftār tumhārā hai vahī hai āzād
jis ko āzād karo tum kabhī āzād na ho
merā maqsad ki vo ḳhush hoñ mirī ḳhāmoshī se
un ko andesha ki ye bhī koī fariyād na ho
maiñ na bhūlūñ ġham-e-ishq kā ehsāñ 'vahshat'
un ko paimān-e-mohabbat jo nahīñ yaad na ho