Wahshat Raza Ali Kalkatvi

aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
aañkh meñ jalva tirā dil meñ tirī yaad rahe
ye mayassar ho to phir kyuuñ koī nāshād rahe
is zamāne meñ ḳhamoshī se nikaltā nahīñ kaam
naala pur-shor ho aur zoroñ pe fariyād rahe
dard kā kuchh to ho ehsās dil-e-insāñ meñ
saḳht nāshād hai daa.im jo yahāñ shaad rahe
ai tire dām-e-mohabbat ke dil o jaañ sadqe
shukr hai qaid-e-alā.iq se ham āzād rahe
naala aisā ho ki ho us pe gumān-e-naġhma
rahe is tarah agar shikva-e-bedād rahe
har taraf daam bichhā.e haiñ havas ne kyā kyā
kyā ye mumkin hai yahāñ koī dil āzād rahe
jab ye aalam ho ki mañDlātī ho har samt ko barq
kyuuñ koī nauhagar-e-ḳhirman-e-barbād rahe
ab tasavvur meñ kahāñ shakl-e-tamannā 'vahshat'
jis ko muddat se na dekhā ho vo kyā yaad rahe
Top Urdushayar.com