zabt kī koshish hai jān-e-nā-tavāñ mushkil meñ hai
kyuuñ ayaañ ho aañkh se vo ġham jo pinhāñ dil meñ hai
jis se chāho pūchh lo tum mere soz-e-dil kā haal
sham.a bhī mahfil meñ hai parvāna bhī mahfil meñ hai
ishq-e-ġhārat-gar ne shah dī husn-e-āfat-ḳhez ko
shauq-e-bismil hī se kas-bal bāzū-e-qātil meñ hai
kuchh samajh kar hī huā huuñ mauj-e-dariyā kā harīf
varna maiñ bhī jāntā huuñ āfiyat sāhil meñ hai
ḳhud tujhe aa jā.egā āshiq-navāzī kā ḳhayāl
terā rahrav kyuuñ ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil meñ hai
mudda.ā-e-ishq merā kuchh nahīñ juz zauq-e-ishq
husn ko hairat ki ye kis sa.ī-e-be-hāsil meñ hai
apnī shān-e-be-niyāzī par tumheñ kyā kyā haiñ naaz
kaash tum us shauq ko jaano jo mere dil meñ hai