Wahshat Raza Ali Kalkatvi

dekhna wo girya-e-hasrat-maal aa hi gaya

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

Kolkata, West Bengal, India

1881-1956
dekhnā vo girya-e-hasrat-ma.āl aa hī gayā
bekasī meñ koī to pursān-e-hāl aa hī gayā
jur.at-e-arz-e-tamannā kā sabab vo ḳhud hue
mehrbāñ dekhā unheñ lab par savāl aa hī gayā
dil ko ham kab tak bachā.e rakhte har aaseb se
Thes āḳhir lag ga.ī shīshe meñ baal aa hī gayā
bevafā.ī se vafā kā dete vo kab tak javāb
dil hī to hai rafta rafta infi.āl aa hī gayā
ḳhud-farāmoshī kī lazzat nā-mukammal rah ga.ī
bāvajūd-e-be-ḳhudī terā ḳhayāl aa hī gayā
ek muddat se nahīñ miltā thā 'vahshat' kā patā
le tire kūche meñ vo āshufta-hāl aa hī gayā
Top Urdushayar.com